Agar Kutta Sukha Tha Aur Us Par Koi Gandagi Nahi Lagi Thi To Kapda Napak Nahi Hoga Lihaza Namaz Ho Jayegi
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Amaliyat Ruhani Jamali Hai To Harj Nahi Aur Agar Jalali Ya Khas Maqsad Ka Chilla Kar Raha Hai To Walidain Ko Zaroor Bataye Wo Ijazat Den To Kare Aur Aise Amal Bina Ustad (Amil) Ki Ijazat Ke Nahi Hote, Zikr Durood Me Ijazat Ki Zaroorat Nahi, Jitna Ilm Sikhna Farz Hai Wo Bhi Bina Ijazat Hasil Kar Sakta Hai Chahe Dars E Nizami Se Ho Ya Kisi Aur Zaraye Se
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Gale Ka Nahi Hai, Magar Kafir Aurto Se Waisa Hi Parda Hai Jaise Mard Se Hota Hai Yani Sar Ke Baal Bhi Aur Gala Bhi Aur Aksar Log Is Mas'ale Se Ghafil Hote Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Roza Rakho, Kam Khao, Masroof Raho, Buri Sohbat Aur Burai Par Ubharne Wale Kam Se Bacho, Aur Sabse Aham Nikah Me Jaldi Karo
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Suraj Tulu Hone Se Din Hai Aur Maghrib Bad Raat Hai
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Ji Nahi Koi Harj Nahi Hai, Agar Pani Sahi Aur Peene Laiq Hai To Pee Sakte Hain
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Agar Kulli Me Pani Ka Rang Zyada Surkh Hai Yani Khoon Ka Ghalba Hai To Wuzu Fir Se Kare Thora Khoon Rukne Ya Thukne Ke Bad Agar Halka Magar Pani Me Mil Gaya Aur Pani Ke Rang Ka Ghalba Hai To Wuzu Ki Hajat Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Agar Video Jaiz Cheez Ki Hai To Uski Editing Se Kamana Jaiz Hai
وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Bina Ijazat Kisi Ka Bhi Wifi Istemal Karna Jabki Wo Aam Istemal Ke Liye Na Ho, Chori Hai Aur Chori Haram Hai, Jitna Istemal Kiya Utna Paisa Padosi Ko Dena Hoga Warna Usse Muaf Karwana Hoga Aur Muafi Bhi Mangni Hogi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Patanjali Ke Har Product Me Gou Mootra Shamil Ho Ye Baat Aqlan Bhi Mumkin Nahi Lagti Kyun Ki Baaz Cheeze Aisi Hain Jaise Ki Sukhe Powder Usme Koi Bhi Pani Kaise Milaya Ja Sakta Hai Lihaza Jisme Gaye Ka Peshab Mila Ho Use Na Istemal Karen Baki Saman Istemal Karna Apke Dil Par Hai Kare Ya Na Kare, Hai Jaiz
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Shatranj Khelna Jaiz Nahi Hai Hadees Me Chal Chalne Se Mana Kiya Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Wahi Maine Bhi Bataya Ki Shiddat Se Aaye To Todna Hai Agar Zyada Fark Nahi Padega To Namaz Padhna Chahiye
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Is Tarah Qasam Nahi Hogi Qasam Me Awaz Ka Bhi Hona Zaroori Hai Kam Se Kam Khud Ke Kaan Sun Len
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Han Waswase Kufirya Hain Magar Waswaso Se Kafir Nahi Hote Albatta Lahol Ki Kasrat Karen
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ja To Sakte Hain Magar Bewajah Napak Nahi Rehna Chahiye Aur Wahan Quran Nahi Padh Sakte Napaki Me
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Ghusl Karte Waqt Ya Jab Bhi Jism Par Kapde Na Hon Yani Sitr Khula Ho To Bolna Nahi Chahiye Baki Nahate Waqt Bhi Aurat Baat Kar Sakti Hai Ye Hunar Aaj Suna Hai Kyun Ki Hum Logo Ka Phone To Pani Se Kharab Ho Jata Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Agar Peer Sahab Ki Umar Kafi Hai Maslan 70-80 Saal Ke Hain To Shayad Gunjaish Nikal Sakti Hai Ya Fir Murida 10-10 Saal Ki Hain To, Warna Nahi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Zaroorat Ho To Chappal Pahen Kar Wuzu Kar Sakte Hain Wuzu Par Isse Farq Nahi Ayega
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Cheese Khane Me Kya Dikkat Hai ? Agar Jaiz Cheezo Se Tayyar Hai To Kha Sakte Hain
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
North = Shumaal, East = Mashriq, West = Maghrib, South = Junoob
Agar Chothi Rakat Me Shamil Huye Hain To Shuru Ki 2 Rakat Me Qirat Karna Hai Akhri Wali Me Nahi Karna, Shayad Yahi Puchna Hai Apko
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Jin Cheezo Ka Istemal Shariat Me Haram Hai Unki Tijarat Bhi Najaiz o Gunah Hai Jabki Uske Siwa Wo Kisi Aur Kaam Na Aati Hon
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Rasool e Azam ﷺ Ko Sirf Naam Se Ya Muhammad Pukarna Najaiz Hai
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Khane Ke Liye Jane Par Bayan Sunne Ka Sawab Nahi Milega Lihaza Khana To Mil Jayega Magar Nekiyo Se Mehroom Rahega
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Nahi Hoga, Aur Tauba Se Baligh Ke Gunah Bhi Muaf Ho Jate Hain Albatta Kisi Ka Maal Baki Ho To Alag Baat Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Imam Hussain رضى الله عنه Ka Roza Na Rakhna Awwal To Ramazan Nahi Tha Doosri Baat Wo Musafir The Aur Jung Ke Halaat The Magar Jis Roze Ki Fazilat Aai Hai Use Rakhna Chahiye Is Tarah Ke Heele Bahane Banana Kam Ilmi Ki Nishani Hai
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Popular Front Of India Agar Sunni Aqaid Rakhne Wali Koi Jamat Hai Jo Qom o Millat Ke Liye Fayede Ka Kam Karti Hai To Usse Judne Me Harj Nahi Aur Agar Wo Sunni Nahi Hai Aur Badmazhab Baddeeno Ko Bhi Musalman Samjhti Hai To Unse Door Rahe
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Masjid Ke Namaz Time Board Par Jo Juma Ka Time Hota Hai Wo Khutbe Ka Time Hi Hota Hai Na Ki Jamat Ka Aur 2-3 Minute Ke Khutbe Ke Foran Bad Hi Jamat Shuru Ho Jati Hai Aur Jumua Me Aham Khutba Hi Hota Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Mehram Ke Hote Huye Ghair Mehram Ko Qabar Me Na Utarne Diya Jaye Agar Mehram Kam Ho Ya Taqat Me Zada Na Ho To Doosre Log Madad Kar Sakte Hain
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Agar Waqt E Zohar Lag Gaya Tha Aur Azan Se Pehle Sunnat Padh Li To Harj Nahi, Yani Sunnat Fir Se Dohrane Ki Zarur Nahi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Apko Ek Cup Chaye Me Halka Se Zeher De Diya Jaye To Chalega Kya ? Thik Waise Hi Music Music Hai Halka Ho Ya Bhari
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Ji Han Ghusl-Khane Me Bina Kapdo Ke Bhi Naha Sakte Hain Koi Harj Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ghusl-Khane Me Ghusl Karne Ke Baad Agar Zor Se Peshab Aaye To Kar Sakte Hain Dhyan Rahe Ki Peshab Ki Cheete Na Aaye Aur Uske Baad Fir Se Ghusl Karne Ki Zaroorat Nahi Sirf Wuzu Kar Sakte Hain
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Behtar Hai Ki Unki Beti Se Nikah Na Kiya Jaye Tafsili Maloomat Ke Liye Ilaqe Ke Ulama Se Rabta Karen
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Istemal Kar Sakte Hain Agar Achche Se Dho Kar Paak Kar Liya Jaye Aur Paak Karna Wahi 3 Bar Achche Se Ki Sharab Ka Asar Na Rahe Behtar Hai Mitti, Sabun Se Dho Liya Jaye
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Fasiqon Ka Kaam Hai Paison Ki Barbadi, Na Aqalmand Aisa Karega Na Hi Muazzab Shakhs
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Jis Tarah Suwal Me Likha Hai Is Tarah Se Agar Muqtadi Salam Pherne Se Pehle Bhi Baith Jata To Bhi Use Namaz Nahi Milti, Is Mas'ale Me Farz Qiyam Ka Khayal Nahi Rakha Jata
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Han, Fir Mumani Se Nikah Jaiz Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Agar Waqai Insan Ki Laparwahi Se Kharab Hua To Gunahgar Hain Aur Usne Hifazat Ki Thi Fir Bhi Kharab Ho Gaya To Gunah Nahi, Magar Khana Zyada Ho To Baat Dena Chahiye Padosio Ko, Faqiro Ko, Rakhna Nahi Chahiye Agar Kharab Ka Andesha Ho
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Nahi, Gunahgar Nahi Behtar Hai Ki Poore Muharram Me Kabhi Bhi Ek Aur Rakh Le
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Agar Isme Koi Haram Ashya Mili Hui Nahi Hai To Pee Sakte Hain Magar Yaad Rahe Ki Ye Sirf Company Ka Dhoka Hai Energy Isse Kuch Nahi Aati Lagatar Peene Se Sehet Ka Nuqsan Hi Hota Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ji Han Ghusl Karne Se Wuzu Bhi Ho Jayega Lihaza Agar Ghusl Ke Baad Wuzu Todne Wali Cheez Na Paai Gai Ho To Usi Ghusl Se Namaz Padh Sakte Hain, Jab Sar Dho Liya Jaye To Masah Karne Ki Zaroorat Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Agar Koi Mareez Sajda Nahi Kar Sakta Hai Use Chahiye Ki Baith Kar Namaz Padhe Aur Jitna Sajde Me Jhuk Sakta Hai Utna Jhuke Warna Ishare Se Padhe
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Tanha Namazi Chahe Musafir Ho Ya Muqim Use Azan Alag Se Dene Ki Zaroorat Nahi Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Qasar Namaz Apne Apne Waqt Me Padhi Jayegi, Qaza Karke Namaz Padhna Gunah e Kabira Aur Jahannam Me Le Jane Wala Kaam Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Taharat Ka Sahi Ilm Ho Aur Namaz Sahi Aati Ho To Namaz Ho Jayegi Baki Aqaid Sikhne Chahiye.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ek Dua Hai Jo Ahanaf Ke Nazdeek Fajr Me Musibat Ke Waqt Padhi Jati Hai Aur Ruku Se Pehle Na Ki Ruku Me
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب