Maah e Ramadhan
Welcome Image
8 Ramadan 1445 / Tue, 19 March 2024
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Kya Aurat Ke Chehre Ka Bhi Parda Hai

Kya Aurat Ke Chehre Ka Bhi Parda Hai
Share this post:

Suwal: Hazrat ye jo ajkal aurate, ladkiya bazar me burqe to pehnti hai magr chehra khula rakhti hai, kya ye sahi he. gair mard ke samne chehra khol sakte hen. aur agar kisi se kaho ki chehra na kholo to kehti hen shariat ne chehre kholne ki ijazat di he. aap bataye kia sahi he.

 

Jawab:  بسم الله الرحمن الرحيم

Pardadar chehre ko chamkata hua, jhuthe pardo par qeher barsata hua.

(Radd al hijaab bil batil Niqab)

“Sabhi mali faili ibadat usi azmat wale shohrat wale izzat wale zameen aur asman ke noor (allah) ke liye, jo chamkayega, qiyamat me chehra apne karam se is tehrir ke likhne wale ka, aur padhne walo aur khas kar amal karne walo ka, unke sath jinke sath wada kiya gaya ki kuchh chehre hashr ke maidan me chamakate honge, aur durood o salam ho beshumar beshumar us noorani chehre wale ke liye, jinki aulad dar aulad ko imam e ahle sunnat ne “noor” farmaya, aur tamam sahaba aur ahle bait par jinhone gawahi di ki Huzoor (عليه السلام) ka chehra 14 ke chand se zyada chamakdar tha,”

 

G, han, Purfitan daur ko dekhte huye ulama ne chehre ko chhipane ko wajib likha hai, Main kehta hu (allah hi ki tofiq se) ki sara kamal aur wabal chehra ka hi hai, chehra hi bhata hai, aur chehra hi doobata hai, aur kal dozakh me bhi kuchh aurate apne chehre nochti hogi, magar kuchh ke chehre to noorani honge, to fir meri is baat me kuchh mubalghna nahi. Agar me kahu ki. “Husn ka dar o madar chehre par hai, jo gair mard se husn ko chupana chahe use chahiye ki chehre ko chipa le”

 

Fatawa Razawiyya Jild: 14 Safah: 552 par hai,

“(ulama ne) chehra chhipana sadi awwal me wajib naa tha, wajib kar diya”.

 

Hidaya me hain: سدل الشیئ علی وجھھا واجب علیھا yani: Chehre par parda latkana aurat par wajib hai”

Sharah libas me hain: دلت المسئلۃ علی ان المرأۃ منھیۃ عن اظھار وجھھا للاجانب بلاضرورۃ

yani:ye masala is bat par dalalat karta hai ki aurat ko bila zarurat ajnabi logo par apna chehra kholna mana he”

 

Durr E Mukhtar Sharah Tanweer Ul Bashar: تمنع من کشف الوجہ بین رجال لخوف الفتنۃ

yani: “fitne ke khauf se auraton ko mardo me chehra kholne se roka jaye.

 

Is qism ke secro masail hai jise ulama ne waqt ki nazakat ke teht badal diye, aur jo kahe ki ye Huzoor (عليه السلام) ke waqt me nahi tha ya shariat me pehle nahi tha ab kyun to wo jahil hai kyunki is tarah ke hukm shara ke khilaf nahi balki ain shariat hi ke mutabiq aur Huzoor (عليه السلام) ke farman hi ke mutabik hoga,

Aur agar koi ahmak aurat jo ahkam e sharia se bekhabar ho aur yu kahe ki jab daur rasool me chehra chipana wajib nahi to ab kyun? To iska jawab ye hai ki daur e rasool me to aurate masjid me bhi namaz padhti thi, balki Huzoor (عليه السلام) ne farmaya: اذا استأذنت احدکم امرأتہ الی المسجد فلا یمنعہا

Yani: “jab tum me se kisi ki aurat masjid jaane ki ijazat mange to use mana naa karo,”

(is hadis ko Bukhari Aur Muslim ne bhi riwayat kiya)

Aur Fatmaya Hadis e pak me: لاتمنعوا اماء ﷲ مساجد ﷲ yani: “allah ki kanizo ko allah ki masjidon se naa roko” (is hadis ko bhi Muslim Aur Abu Dawood ne sunan me naql kiya)

 

Magar aaj koi aurat nahi kehti ki masjid me jamat se namaz padhna chahti hu, kyunki wo to pehle hi ghar me bhi namaz padhna nahi chahti or namaz me kasrat hai wuzu aur hath per hilane ki, or chehra dikhane me husn ka dikhawa zinat ka izhar he koi kasrat mashakkat nahi balki dil ko bhata hai ki gair hamara husn dekhe. To khud gaur karle ki nafs ki ghalbe ki khatir chehra kholna chahti hai ya shariat ke khatir, isilye tarah tarah ke heele karti hai or nafs par foran shariat aur rasool ka daur yaad aa jata hai, jamat se namaz par kabhi naa aya, pehli sadi me auraten masjid jati magar bad me waqt ki nazakat ke tehet daur e farooq e azam me ise bhi band karna padha, us waqt kya Hazrat umar aur Hazrat ayesha ko ye nahi maloom tha ki wo aise kam par pabandi laga rahe hai jis par habeeb e khuda ne pabandi naa lagai, nahi nahi hargiz nahi,

Balki Hazrat ayesha ne farmaya:

لوا ن رسول ﷲ صلی ﷲ تعالٰی علیہ وسلم رأی من النساء مارأینا لمنعھن من المسٰجد کما منعت بنواسرائیل نسائھا

“ Huzoor (عليه السلام) hamare zamane ki aurato ko dekhte to unhe masajid jane se mana karte, jaise bani israil ne apni aurato ko mana kar diya,”

 

“Is farman se ye sabit hai Huzoor(عليه السلام) bhi hote to us daur ko dekhte huye zarur yahi hukm dete jo hamne diya”

 

Is hadis e pak se chamakte chehre ki tarah saaf ho gaya ki ulama ka koi farman khilaf e rasool nahi hota balki ain hukm e rasool par hota hai, uske bad aaj tak ulama ne aurato ko masajid ki hazri se baz rakha, kyunki ab to daur usse bhi zyada aag barsane wala hai,

 

Fatehul Qadeer me hai: عمم المتاخرون المنع العجائز والشواب فی الصلوات کلھا لغلبۃ الفساد فی سائر الاوقات

Yani: “fasad ke ghalabe ki wajeh se tamam waqton ki namazo me jawan budi aurato ka nikalna mutakhrin ne mana farmaya hai”

Fiqh ka ek qaida bhi hai ki: “zamane ki tabdili ke sabab ehkam ki tabdili ka inkar nahi kiya jaa sakta

Khulasa e kalam aur meri raye bhi yahi hai ki, har mard par lazim hai ki wo gair ke samne parde ke sath sath apni aurat ko chehra chipane ka bhi hukm de, aur jo ye kuchh niqab hote hai jisme ankhe khuli hoti hai, mere nazdeek iska pehnna bhi napasndida hai, balki ankho sahit poora chehra dhaka hona chahiye, iski ek khas wajeh hai ki chehra chipane ka hukm islye hai ki “naa rang dikhe na umar” magar niqab me akhe khule rehne se aurat ki umar aur rang ka andaza ho jata hai or ye bhi ki jawan hai ya budhi “BAS YE DIL ME FASAD PAIDA KARNE KE LIYE KAFI HAI” to chahiye musalman izzat wale mardo aur aurato ko ki bazaro aur gair mard ke samne mukammal parda kare yani chehra bhi chhipaye aur ankhe bhi dhak kar rakhe, aur ghar me rehte huye ghunghat kara jaa sakta hai isme dushwari nahi hai, agar koi karna chahe, or mujhe hairat hai daur rasool me to sahabiya raat raat bhar namaz padhti thi, roze rakhti thi, is kam ko lekar wo daur yaad kyun nahi aata ki ham bhi rato ko aram naa karke namaze padhe ?, daur yaad aya to chehre ke kholne par?

 

Is kalam ko padhne ke bad kahenge kuchh bebaaq log ki “parda ankho ka hai” fir me kahunga ki agar is daur me logo me haya zyada aa gai kya us pehli sadi me haya wale nahi the, or mumkin he fir koi bebaq bol bethe ki “dil saf hona chahiye” to mera jawab yahi hoga ki jab Hazrat ayesha Huzoor (عليه السلام) ke mazar par hazir hoti to (parde ka khas khyal naa rakhti) farmati ye mere shohar hai, fir jab Hazrat abu baqr Huzoor(عليه السلام) ke qadmo me dafan huye to bhi yahi hal tha kyunki ab ek shohar ek walid the, MAGAR jab Hazrat umar ka mazar bhi wahi bana to khud dhak chip kar ane lage, KYUNKI HAZRAT UMAR GAIR MARD the, fir wahi baat, kya Hazrat e umar se ziyada izzat wale is zamane me aa gaye ya Hazrat ayesha ki zyada haya wali aa gai, jo tumhare sirf dil ka parda kafi hai, kahi iska matlab ye to nahi hai, ki aap sabit karna chahte ho ki aap un Hazrat se zyada nek ho ?

 

Allah ta’ala se dua hai ki wo is kalam me chhipe asli maqsad me qamyabi de, aur musalman aurato ko ise samjhne aur dil se qubool karne aur amal karne ka jazba de, taki kal chehra khuda ke samne dikhaya ja sake, aur ghar me dewar, jeth cousin se bhi goonghat karne ki tofiq bakshe, or agar koi aisa kare to beshak zyada sawab ki haq dar hogi,

 

Tumhara Rab farmata hai Quran Surah: 99 Ayat: 7 me

“to jo ek zarra bhar bhalai kare use dekhega”

 

Aur farmata hai Surah: 94 Ayat: 5-6 me

“to beshak dushwari ke sath asani hai, beshak dushwari ke sath asani hai”

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Al-Kitabat

Sikander Warsi, Delhi India

Share this post:

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.