Rabiul Awwal
Welcome Image
5 Rabi'ul Awal 1446 / Mon, 09 September 2024
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Copper-T Nasbani, Condom Ka Istemal

Copper-T Nasbani, Condom Ka Istemal
Share this post:

Suwal: coper-T,  lagawa kaisa , nas bandi aur condom ka istemal ka hukm,

Al- Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم

Nasbandi chahe aurat ki ho ya mard ki karana aur karwana haram hai, gunah e kabeera hai, aur hadis e pak se iski mumaniat sabit hai, agar ye dono kisi bachche ki wiladat nahi chahte to, arazi tariqe istimal karne chahiye, (condom ya dawa) taki aage ummid ke darwaze khule rahe, aur nasbandi karwana yani hamesha ke liye aulad ki ummid se mehrum reh jana hai, Fatawa Faizur Rasool Jild:02 Safah:580 par hai

“dawa ya rabar ki theli(condom) istimal karna jaiz hai, Lekin kisi amal se hamesha ke liye bachcha paida karne ki salahiyat ko khatam kar dena jaiz nahi, (yani nasbandi jaiz nahi )

 

Man lijiye agar kisi ke 4 bachche hai, ab ye sochte hai, ki inhe aage bachcho ki zarurat nahi, aur ye nasbandi karwa le, khuda naa kare, kisi hadse ya beemari me sare bachche mar gaye to? Ab kya karega, aur aurat ko bachcho ki khawaish hui to ab ? ya mard ne nasbandi karwai, aur biwi mar gai ab doosra nikah karna chahe aur doosri aurat aulad mange to kya karega? ya aurat ki nasbandi karwa di, aur shohar mar gaya, ya dono ki talaq ho gai, aur aurat ya shohar doosra nikah karna chahe to kya karegi, kyunki inhone to wo rasta apnaya jisme aage ummid ke sare darwaze band hen, isse ghar bigarne ki naubat ayegi, aur zindagi bhar apni aulad se mehrumi, ha agar ye dono koi arzi tariqa yani (condom, medicial, etc) ka istimal kare to behtar hai, ki isse maqsad wahi hasil hoga aur aage koi unch neech hoti hai, to ghar nahi bigrega, man lo mard ne ye soch kar ki mere 2 bachche hai, nasbandi karwa li, aur bachche mar gaye, aur biwi kehti hai ki ise aulad ki zarurat hai, warna TALAQ DO ? ummid hai, aap meri baat samajh gaye hoge, ki dosri chize istimal ki jayen, nasbandi ke alawa baki doosre saman jaiz hai,

 

“copper t” yani ek aisa ala hota hai, jo aurat ke jism me istilam hota hai, isse ek khas muddat ke liye aulad ki paidaish ruk jaati hai, fir ise nikal dene par aulad ki paidaish ho sakti hai, isse bhi maqsad poora hota hai, aur aage aulad ki chahat ho to admi majboor nahi hota, magar iske bare me mujhe kitab e fiqh me koi ibarat naa mili, magar quran o hadis ki roshni me bazahir mujhe iska istimal jaiz nazar aa raha hai, jis tarah condom ka istimal jaiz hai, yani agar aadmi 3 sal tak lagatar condom istimal kare to bhi aulad nahi hota, copper t me bhi ye hai ki ek bar hi istimal hogi, jab ulama ne condom ke jaiz hone ka byan kiya to is qiyas par copper-t bhi jaiz hai, jaisa ki Fatawa Faizur Rasool Jild:02 Safah:580 par hai

“dawa ya rabar ki theli (condom) istimal karna jaiz hai”

magar fir bhi sitr e aurat ka khyal or ahkam apni jagah qayam rahenge.

وﷲ تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Al-Kitabat:

Sikander Warsi, Delhi, India

Share this post:

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.