Ya Shaikh Abdil Qadir Jilani
Welcome Image
4 Rabi' al-Thani 1446 / Mon, 07 October 2024
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Auraton Ka Mic Par Ijtima Aur Salam Padhna

Auraton Ka Mic Par Ijtima Aur Salam Padhna
Share this post:

Suwal no. Aurte bhi ijtamay ka kam karti hai aur taqrir bhi karti hai aur taqrir ke baad salam bhi padti hai mic me yeh sab karna thik hai ?

 

Jawab:  بسم الله الرحمن الرحيم

Is suwal me 3 alag alag suwal darj hai,

1.- aurate ijtime ke kam karti hai- agar ye aurate deen e mateen ki tabligh ke liye ghar se jati hai or pardey ki sharait par kisi ke ghar jaa kar aurate jama hoti hai, fir kuchh naat, quran namaz wagera seekhti hai, or inke jaane ki ijazat ghar me shohar ya gair shadi shuda ko walid ki taraf se hai to harj nahi, balki swab ka kaam hai, ki aaj kal jahalat aurato me zyada pai jaati hai, to agar koi qabil aurat ye zimma uthaye ki hafte me ek ya do din, ghar ke aspas hi ya apne ghar jahan sharai tor par parda ho or gair mard ka dakhal naa ho or ilm e deen sikhe sikhaye to achha hai, or ilm sikhna khas kar apni zarurat ke masail to har musalman mard aurat par farz hai, magar aurat 92 km se zyada tanha safar nahi kar sakti, or ilaqe me bhi aspas ho or maghrib se pehle apne ghar aa jaye, agar yahi mamla hai to ilaqe wale sunni musalmano ko chahiye ki wo bhi apne ghar se bachio ko waha bheje taki wo bhi kuchh farz adab parda namaz wagera, seekh sake, warna ghar me siwaye TV, film Serial ke kuchh hota dekha nahi jaata, aur aurat ko gair mard se padhne se behtar hai ki isi tarah aurato ke ijtime me bheja jaye taki kuchh hasil ho, hadis me aya ki “agar tere zariye se allah kisi ek shaks ko bhi islah farma de to ye tere liye har us chiz se behtar hai jis par suraj chamakta hai,” jabki ye aurate sunni ho naa ki deobandi, warna deobandio ki talim me ghar se aurato ko bhejna ya jana haram hai,

2.- aurate taqrir karti hai- agar aurat kitab dekh kar taqrir karti hai or achha padhna janti hai or apni taraf se kuchh ghalat byani nahi karti to sirf urdu ya hindi padhne wali aurat ko is tarah dekh kar byan karna jaiz hai, fir chahe wo alima naa ho, or agar wo (masha allah) alima hai to alima ko bagair dekhe taqrir jaiz hai, or alim nahi to gair alim ya alima ko be dekhe waaz(byan) haram hai or uska sunna bhi haram,

3.- aurate mic par salam bhi padhti hai- aurato ka bad ijtima salam padhna jaiz hai, jabki awaz gair tak naa jaye or agar awaz jaane ka khatra ho to bagair mic ke hi padhe, or mic ka hukm upar ke sabhi suwal me lagaya jayega, ki aurat byan, salam me mic jab hi istimal kare jab awaz bahar naa jaye, maslan, kisi top floor par ijtima ya salam ho raha hai or mic ki awaz us flat se bahar nahi aati ya us kamre se bahar nahi aati to mic me padhne me harj nahi warna mic se parhez karna chahiye,

وﷲ تعالٰی اعلم وعلمہ جل مجدہ اتم واحکم۔

Al-Kitabat

Sikander Warsi Delhi, Hind

Share this post:

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.