Farmaan e Mustafa
Welcome Image
6-Muharram (محرّم) 1447 H. / Wed, 2.7.2025 7:09 pm
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Category: Farz/Wajib Namaz

Namaz Ho Jayegi,

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Pent Shirt Pehen Kar Namaz Aur Imamat Dono Ho Sakti Hai Aur Us Par Kurta Ya Jubba Pehen Lena Aur Zyada Behtar Hai, Lihaza Namaz Ho Jayegi.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Agar Vardi Par Koi Jandar Ki Tasweer Na Ho To Police Vardi Me Namaz Ho Jayegi.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Takhno Se Niche Payche Karna Takabbur Ke Sath Haram Hai Aur Agar Takabbur Na Ho To Makruh e Tanzihi Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Namaz Apne Waqt Par Padhna Farz Hai, Aur Isi Tarah Halal Kamana Bhi Farz Hai Lihaza Iska Matlab Ye Nahi Ki Job Ki Talash Ki Jaye, Jahan Namaz Ki Ijazat Mile Wahan Par Kam Kiya Jaye, Warna Filhal Kuch Waqt Apna Kaam Kar Liya Jaye.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Hath Kan Ki Lou Ki Seedh Me Rakhe Aur Chehra Dono Hatho Ke Darmiyan.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Namaz Ankh Band Kar Ke Padhna Makruh Hai Aur Wo Bhi Us Surat Me Jahan Aankhe Khol Kar Padhne Me Koi Karahat Na Ho Aur Agar Ankhe Khol Kar Padhne Me Zehen Muntashir Hota Ho Aur Ankhe Band Karke Padhne Me Itminan Hasil Hota Ho To Ankhe Band Karke Padhne Me Harj Nahi.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Moze Pehen Kar Namaz Ada Karen To Moze Pent Ke Andar Rakhe Aur Payche Upar.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Qiyam Ki Halat Me Namazi Ke Dono Panjo Ke Darmiyan 4 Ungali Ka Fasla Hona Mustahab Hai, Isi Tarah Bahar e Shariat Me Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Namaz Shuru Karne Se Pehle Agar Gais, Peshab Waghaira Ka Ghalba Ho To Namaz Shuru Hi Nahi Karni Chahiye Aur Agar Shuru Karne Ke Bad Aisi Surat Pesh Aai Ho To Namaz To Padhte Rehna Gunah Hai Lihaza Aisi Surat Me Namaz Tod De, Farigh Ho Fir Se Namaz Padhe.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Present (Maujooda Din Ki) Namaz Waqt Aane Se Pehle Ki Nahi Padh Sakte Albatta Piche Qaza Ho To 3 Makruh Waqt Chor Kar Padh Sakte Hain.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Shak Se Kuch Nahi Hota, Agar Yaqeen Ho Ki Hawa Kharij Hui Thi To Namaz Fir Se Padhi Jaye, Aur Sirf Wehem Tha Ki Shayad Hui Ho To Na Dohraya Jaye.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Displaying 61 - 73 of (73) records

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.