Agar In Dono Drink Me Koi Haram Cheez Nahi Milai Jati To Peena Jaiz Hai, Aur Agar Company Isme Haram Cheez Dalne Ka Dawa Karti Hai Yani Likha Huwa Hai To Peena Jaiz Nahi.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Jhingha Me Ulama Ka Ikhtilaf Hai Ise Na Khana Behtar Hai Aur Agar Khane Wala Ise Machhli Ki Ek Qism Janta Hai To Jaiz Kehne Wale Ulama Ke Qol Par Kha Sakta Hai.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Bazar Me Milne Wali Har Tarah Ki Drink Se Parhez Karna Chahiye Jo Cheez Bhi Ho To Zaruri Nahi Ki Sehet Ke Liye Bhi Achchi Ho Lihaza Agar Isme Koi Haram Shey Ka Paya Jana Nahi Hai To Peena Jaiz Hai Aur Sehet Ke Lihaz Se Bachna Chahiye Aur Sunnat Ghizao Ko Apnana Chahiye.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ji Han Beer Peena Haram Hai Wo Ek Qism Ki Sharab Hi Hai.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Jaiz Hai, Aur Koi Bhi Cheez Sirf Afwah Ya Wehem Se Najaiz Nahi Hoti, Jab Tak Sharai Saboot Na Ho.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE
Jis Ghar Ki Shadi Ki Dawat Aai Hai Unhi Ko Jana Chahiye, Dawat Me Aisa Nahi Hota Ki Aap Naa Aao To Apne Badle Kisi Aur Ko Bhej Do Lihaza Dosto Ko Sath Le Jana (Jabki Unki Dawat Nahi Hai) Jaiz Nahi.
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE
Ji Han Chandi Sone Ke Bartano Me Khana Peena Haram Hai Hadees Me Farmaya "Jo Chandi Sone Ke Bartan Me Khata Peeta Hai Wo Apne Pet Me Jahannam Ki Aag Bharta Hai"
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Suwal Me Puche Gaye Ajza Me Se Ojhdi, Khana Jaiz Nahi Baki Sab Jaiz Hai.
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE
Khane Peene Ki Cheez Me Agar Napaki (Ghaliza) Gir Jaye To Wo Khana Napak Ho Jayega Use Khana Peena Jaiz Nahi, Albatta Aise Suwal Me Zaroori Hai Ki Najasat Bhi Bayan Ki Jaye Ki Kya Gira Hai.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE