zaitoon ki fazilat
Welcome Image
9 Shawwal 1445 / Fri, 19 April 2024
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Category: Relationship/ Humbistari

Bila Wajah e Sharai Aur Bina Hukm e Sharai Rishtedari Se Talluq Todna Haram Hai

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Biwi Ka Ghar Me Shohar Ke Samne Chote Kapde Pehenne Me Harj Nahi Jabki Ghar Me Doosre Afrad Na Ho Ki Achanak Kapde Badal Nahi Sakti Ya Bachche Bade Na Ho Ki Isse Besharami Ka Asar Hoga

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Salam Nahi Kar Sakte Unke Liye Dua Kar Sakte Hain Hidayat Ki Bimari Ho To Sehet Waghaira Ki

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Shohar Ka Biwi Ki Farj (Sharmgah) Me Ungali Karna Jaiz Hai, Magar Ghusl Aurat Par Us Surat Me Farz Hoga Jab Aurat Ko Inzal Ho Jayega 

Note: Inzal Kise Kehte Hai, Tarifaat Ki Category Me Dekhen

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Maafi Mil Jayegi Aur Nikah Karna Chahe To Wo Bhi Kar Sakte Hain

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Jaiz Hai, Magar Koshish Kare Ki Mani Chehre Par Kharij Na Ho

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Agar Ghar Me Bachche Nahi Hain Ya Fir Nasamajh Chote Hain Aur Sath Me Koi Aur Bhi Nahi Rehta To Pehen Sakti Hai Yani Bepardgi Ka Ghuman Na Ho Warna Sirf Shohar Apni Chutti Wale Din Bole To Alag Baat Hai Magar Parde Ka Khayal Rakhe, Baki Shohar Ko Samjha Sake To Samjha Den

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Dekh Sakta Hai Jaiz Hai

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Maa Behen Biwi Saas Khala Fufi Bahot Zaeef Budhi Aurat Se Bhi Jabki In Tamam Me Shehwat Jaisi Baat Dil Me Na Ho

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Nahi Dekh Sakte, Kisi Doosre Ka Sitr Videos Me Bhi Dekhna Haram Hai

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Pehle Shohar Ka Inteqal Hote Hi Usse Nikah Khatam Ho Gaya Lihaza Agar Aurat Naya Nikah Karti Hai To Wo Naya Hi Uska Shohar Hai Agar Usi Ke Nikah Par Faut Hui To Usi Ke Sath Hogi Agar Pehle Ke Inteqal Ke Bad Nikah Nahi Kiya To Pehle Ke Sath Ki Ummid Qawi Hai

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Zina Jaisa Gunah To Nahi Hoga, Magar Gunah Hoga Agar Kisi Ka Tasawwur Kiya Jayega To Gunah e Zina Ka Imkan Hai

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Apni Marzi Se Dhona Chahe To Dho Sakti Hai Us Par Lazim Nahi Ki Dhoye Albatta Ye Ki Dewar Bahot Chota Ho Aur Bhai Ki Kifalat Me Rehta Ho

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Nahi, Kyun Ki Rishta Ho Jana, Shadi Ho Jana Nahi Hota

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Sayyed Ko To Keh Hi Sakti Hai Magar Ghair e Sayyed Ko Bhi Biwi "Ya Sayyidi" Keh Sakti Hai

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

VIDEO ANSWER CLICK HERE

Han Pehen Sakti Hai, Har Wo Libas Jo Aurat Ka Ho Magar Behayai Se Bache Ki Haya Iman Se Hai

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Kha Sakte Hain Fayeda Isse Kuch Khas Nahi Hoga Sirf Dimag Ka Wehem Hai Ye Cheeze Ek Din Ya Ek Bar Ke Khane Se Fyeda Nahi Deti Aur Company Ko Bechne Ke Liye Bewaqoof Grahak Bhi Chahiye Hote Hain So Wo Ap Log Hote Hain

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Haram Hai

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Kya Suwal Karne Wale Ki Shadi Bachpan Me Hui Hai Ki Use Is Suwal Ka Jawab Bhi Nahi Pata ? Jis Aurat Ke Sath Sota Hai Uski Godh Me Sar Rakh Kar Sone Me Kya Dikkat Hai Samajh Nahi Aya ?

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Gaali Dena Musalman Ko Haram Hai, Tauba Karke Unse Muafi Mangiye Aur Ainda Aisa Na Karne Ka Bhi Ahad Kijiye Aur Unhe Bahar Se Kuch Unki Pasand Ka Khane Ka Laa Kar Dijiye

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Jahalat Bhara Kalam Hai Jabki Ye Baat Usne Fizul Kalam Jante Huye Tafrih Me Hi Ki Hogi

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Agar Marz Thik Ho Gaya To Batane Ki Zaroorat Nahi, Agar Hai Aur Chota Mota Hai To Bhi Batane Ki Zaroorat Nahi Aur Koi Serious Bimari Hai To Batana Hoga

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Amaliyat Ruhani Jamali Hai To Harj Nahi Aur Agar Jalali Ya Khas Maqsad Ka Chilla Kar Raha Hai To Walidain Ko Zaroor Bataye Wo Ijazat Den To Kare Aur Aise Amal Bina Ustad (Amil) Ki Ijazat Ke Nahi Hote, Zikr Durood Me Ijazat Ki Zaroorat Nahi, Jitna Ilm Sikhna Farz Hai Wo Bhi Bina Ijazat Hasil Kar Sakta Hai Chahe Dars E Nizami Se Ho Ya Kisi Aur Zaraye Se

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Roza Rakho, Kam Khao, Masroof Raho, Buri Sohbat Aur Burai Par Ubharne Wale Kam Se Bacho, Aur Sabse Aham Nikah Me Jaldi Karo

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Nahi Rakh Sakte Aur Ye Aap Khud Bhi Jante Ho.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Bila Shehwat Ke Dekhna To Samajh Ata Hai Bina Zaroorat Kaise Dekhte Hain Wo Nahi Samjh Aya, Agar Raste Me Khud Dikh Jaye Ye Murad Hai To Harj Nahi. 

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Ji Han Bakhshe Jayenge Jabki Aqaid e Ahle Sunnat Par Hon Ya Aisa Samjhe Ki Unhe Inteqal Se Pehle Sachchi Tauba Ki Taufeeq Mil Jayegi.

Hadis Me Hai: Beshak Allah Na Tujhe (Hazrat Fatima رضى الله عنها Ko) Azab Farmayega Na Teri Aulad Ko,

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب 

Nahi, Kyun Ki Dadhi Katwana Haram Hai Aur Kisi Ke Kehne Par Haram Kaam Nahi Karna Chahiye, Kya Tum Unke Kehne Par Sharab Pee Sakte Ho ?

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Munh Ek Pak Jagah Hai Use Jan Kar Napak Karna Jaiz Nahi Lihaza Humbistari Ke Waqt Sharmgah Ko Munh Me Lena Haram Hai Ki Isse Ghalazat Munh Me Jane Ka Qawi Imkan Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Dost (Friend) Banana Koi Zindagi Ki Zaroorat Nahi Hai, Na Hi Ye Zaroori Hai Ki Har Bat Friend Se Hi Share Ki Jaye Aur Isse Zyada Khatarnak Is Daur e Purfitan Me Male Ko Friend Banana Hai Jabki Usse Na Apka Koi Dunyawi Rishta Hai Na Deeni, Lihaza Normal Bat Bhi Ni Ki Ja Sakti, Faltu Time Ho To Qaza Padh Lo Warna So Jao, So Jana Najaiz Rishte Me Padne Se Behtar Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Displaying 1 - 30 of (30) records

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.