Donation Appeal
Welcome Image
18-Jumada al-awwal (جُمَادَىٰ الأُولَىٰ) 1447 H. / Wed, 26.11.2025 7:24 pm
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

All Questions

Namaz Ankh Band Kar Ke Padhna Makruh Hai Aur Wo Bhi Us Surat Me Jahan Aankhe Khol Kar Padhne Me Koi Karahat Na Ho Aur Agar Ankhe Khol Kar Padhne Me Zehen Muntashir Hota Ho Aur Ankhe Band Karke Padhne Me Itminan Hasil Hota Ho To Ankhe Band Karke Padhne Me Harj Nahi.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Wuzu Ke Baad Jism Se Agar Zyada Pani Tapakta Ho To Saf Kar Sakte Hain, Koshish Ki Jaye Ki Poora Khushk Na Kare Yani Wuzu Ki Tari Aza Par Baqi Rahe.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ahle Sunnat Almaroof Sunni Bareilvy Poori Duniya Me Hain Albatta Baz Mumalik Me Fiqhi Eitbar Se Alag Alag Log Maujood Hain Jaise Ki Sharai Waghaira Magar Hain Wo Sab Sunni Hi, Aur Jo Is Waqt Sunni Nahi Hai Wo Aur Unke Baap Dada Bhi Pehle Sunni Hi The Bad Me Wahabi Deobandi Mazhab Me Aaye.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Ji Han Kisi Ka Mureed Banne Se Pehle Kisi Bhi Bashara Shaikh Se Talib Ho Sakte Hain.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Tasweer Jandar Ki Lagana Jaiz Nahi, Aur Mera Mushahida Hai Ki Warsiyo Ke Ghar Aksar Tasweer Jo Waris e Pak Ki Hoti Hai Wo Parde Me Dadhi Hoti Hai Lihaza Lagana Fir Bhi Ghalat Hai, Kyun Ki Wo Taziman Lagai Jati Hai, Shariat Sabke Liye Yaqsa Hai, Albatta Aisi Jagah Jahan Tasweer Dhaki Ho To Namaz Me Karahat Nahi. Aur Raha Mere Ghar Me Laga Hone Na Hone Ki Baat To Main Apne Ghar Me Apne Kamre Ka Zimmedar Hun Jahan Koi Tasweer Nahi, Baki Ghar Me Ghar Wale Kaun Kya Karta Hai Uska Main Zimmedar Nahi, Aur Na Hi Mere Ghar Me Lage Hone Na Hone Se Shariat Badal Jayegi.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Roshni Light Ki Ho To Behtar Hai, Karna Chahiye, Ahle Hunood Se Mushabehat Karte Huye Diye, Chirag Jalana Mana Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Mard Ko Zer e Naaf Ke Baal Cream Se Saf Karna Jaiz Hai. 

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Moze Pehen Kar Namaz Ada Karen To Moze Pent Ke Andar Rakhe Aur Payche Upar.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Qiyam Ki Halat Me Namazi Ke Dono Panjo Ke Darmiyan 4 Ungali Ka Fasla Hona Mustahab Hai, Isi Tarah Bahar e Shariat Me Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Napak Kapdon Ko 3 Bar Dhona Wajib Nahi Hai Balki Toti Me Achche Se 1 Bar Hi Dho Liya Jaye To Bhi Pak Hoga Lihaza Dhobi Se Aaye Dhule Kapde Pak Samjhe Jayenge Jab Tak Us Par Kuch Najasat Ka Asar Na Ho.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Ghusl Ho Jayega Wo Mail Ya To Sabun Ka Hota Hai Warna Pasine Ka.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Sirf Check Karne Ke Liye Ring Ungali Me Dal Kar Dekh Sakte Hain.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Huzoor Purnoor ﷺ Ki Tarikh e Wiladat 12 Rabi ul Awwal Hai, Aur Yahi Fatawa Razviya Me Naql Hai, Fatawa Razviya Me 8 Rabi ul Awwal Batane Wale Ko Kitab Ki Ibarat Padhne Ki Qabiliyat Nahi Hai, Wahan 8 Rabi ul Awwal Ki Nafi Likhi Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Samunder Ke Pani Se Wuzu Ghusl Har Qism Ki Taharat Jaiz Hai.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Teddy Bear Jaise Khilone Ya Koi Aur Jandar Ki Misl Ghar Me Na Rakhe Jaye Na Sajaye Jaye, Ladkiyo Ko Sirf Gudiya Khelne Ko Di Jaye, Wo Bhi Khel Kar Rakhi Jaye Sajai Na Jaye.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Apni Sehat (Health) Ko Baqi Rakhne Ke Liye, Bimariyo Se Bachne Ke Liye Gym Karna Jaiz Hai Aur Agar Is Par Achchi Niyat Bhi Shamil Ho To Sawab Ki Ummid Bhi Hai, Maslan: Sehatmand Rahega To Ibadat Karega, Kamzoro Ki Madad Karega, Walidain Ki Khidmat Aur Ibadat Par Madad Hasil Karega, Waghaira Waghaira. 

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Sperm Donate Karna Haram Hai Aur Ye Zina Hi Ki Ek Surat Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Majlis Yani Same Place Par Jan Kar Shehwat Ke Sath Dekhna Murad Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Nikah Ke Liye Pak Hona Shart Nahi Hai, Behtar Tha Ki Ghusl Wuzu Se Hona, Magar Fir Bhi Kisi Wajah Se Ghusl Na Kiya Gaya To Nikah Ho Jayega.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Ji Han, Wazan Ka Badh Jana Pet Ka Badh Jana Aksar Beemari Ki Alamat Hoti Hai Lihaza Is Beemari Se Nijat Ke Liye Dua Ki Ja Sakti Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Namaz Shuru Karne Se Pehle Agar Gais, Peshab Waghaira Ka Ghalba Ho To Namaz Shuru Hi Nahi Karni Chahiye Aur Agar Shuru Karne Ke Bad Aisi Surat Pesh Aai Ho To Namaz To Padhte Rehna Gunah Hai Lihaza Aisi Surat Me Namaz Tod De, Farigh Ho Fir Se Namaz Padhe.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Ji Han, Ghusl Ke Bad Fir Se Wuzu Bana Lena Kafi Hai.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Namaz Ho Jayegi Agar Bhul Se Aisa Hua Ho. Imam Ke Piche Sajda Sahw Ni Hoga.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Laga Sakte Hain, Jabki Insani Baal Ki Na Ho.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Aisa Dupatta Jiske Ulte Sidhe Hone Me Awam Me Koi Farq Nahi Hota To Aise Me Namaz Kisi Tarah Bhi Odh Kar Padhi Ja Sakti Hai, Albatta Agar Waqai Tameez Karne Wala Dupatta Namaz Me Ulta Odh Liya Gaya Ho To Bhi Namaz Ho Jati Hai Faqat Makruh e Tanzihi Hoti Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han, Meelad Sharif Ke Din Roza Rakh Sakte Hain, Khud Sarkar ﷺ Apni Wiladat Ki Khushi Aur Shukr Me Roza Rakhte The.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم 

Ji Han, Pair Fold Karke Durood Zikr Jaiz Hai Aur Dard Ki Wajah Se Aisa Karne Me Harj Nahi, Baki Bewajah Aisa Na Kare. ba-Adab Baith Kar Hi Padhe, Qibla Rukh Ho Kar.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Quran Par Ungli Rakh Kar Padhne Se Quran Ko Chune Ka Sawab Bhi Milega.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Present (Maujooda Din Ki) Namaz Waqt Aane Se Pehle Ki Nahi Padh Sakte Albatta Piche Qaza Ho To 3 Makruh Waqt Chor Kar Padh Sakte Hain.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Haiz Ki Zyada Se Zyada Muddat 10 Din Hair.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب 

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Digital Photo Par Agarche Ikhtilaf Hai Magar Dua Ke Liye Kehne Ke Liye Social Media Par Photo Share Ki Zaroorat Nahi Hoti. Lihaza Naam Ke Sath Dua Ki darkhwast Ki Ja Sakti Hai Warna Ghar Khandan Wale Khud Isal e Sawab Karen.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Agar Kisi Ko Chand Ki Tarikh Yaad Na Ho To Aaj Kal Uska Hisab Back Calendar Se Lagaya Ja Sakta Hai Yani English Date Me Us Waqt Kaun Sa Mahina Tha Ye Pata Kiya Ja Sakta Hai, To Waisa Hi Kare, Albatta Koi English Date Ke Hisab Se Paidaish Ki Khushi Manaye To Khilaf e Shara Usme Kuch Na Ho To Harj Nahi.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Pehen Sakte Hain. 

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Is Tarah Bolne Se Nikah Nahi Tootega Magar Aise Alfaz Na Bole Jaye.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Nahi, Wahabi Se Quran Nahi Sunna Chahiye.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Maut Ke Bad Nafa Paane Ke Liye Insan Ke Zahiri Amal Se Zyada Uske Aqeede Ka Dar o Madar Hai, Baz Kafir Bhi Nek Kam Karte Hue Wafat Paa Jate Hain, Lihaza Wahabi Agar Sahaba Ki Shaan Bayan Karte Huye Bhi Mar Gaya Agarche Namaz Ki Halat Me Bhi Mar Gaya To Bhi Uska Aqeeda Use Le Doobega, Namaz Aur Amal Kaam Na Denge.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Mard Ko Agar Apna Baligh Hona Yaad Na Ho To Wo 12 Sal Se Apni Namazo Ka Hisab Kare Isi Tarah Khawateen 9 Sal Se.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Tamam Ambiya Zinda Hote Hain, Aur Allah Wale Bhi, Magar Baz Walion Ko Bad e Wafat Bhi Imdad Ki Quwwat Di Jati Hai Agarche Ye Mamla Sabke Sath Nahi Hai, Magar Aam Insan Ka Ye Tay Kar Pana Mushkil Hai Ki Kis Wali Ka Martaba Bada Hai Lihaza Wo Sabke Sath Adab Ka Mamla Rakhte Hain, Kyun Ki Qabar Me Nek Momin Ko Bahar Ki Khabar Hoti Hai Wo Sunta, Janta, Dekhta, Mehsus Karta Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ilaqe Sheher Waghaira Ki Azan Ho Jana Namaz Ke Liye Kafi Hai Agarche Ap Tak Uski Awaz Na Aati Ho Lihaza Tanha Shakhs Ko Namaz Padhne Ke Liye Azan Iqamat Kehna Zaroori Nahi Hai, Albatta Keh Le To Harj Bhi Nahi

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Masjid Me Imam Sahab Ko De Diye Jayen Wo Jiske Honge Use De Denge. Koi Aur Use Utha Kar Na Rakhe.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han Chandi Sone Ke Bartano Me Khana Peena Haram Hai Hadees Me Farmaya "Jo Chandi Sone Ke Bartan Me Khata Peeta Hai Wo Apne Pet Me Jahannam Ki Aag Bharta Hai"

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Suwal Me Puche Gaye Ajza Me Se Ojhdi, Khana Jaiz Nahi Baki Sab Jaiz Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Yes, Mobile Phone Ka Bechna Repair Karna Sab Jaiz Hai Aur Isi Tarah Headphone Ka Bechna Kharidna Bhi Jaiz Hai.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Ji Han Aqeeqe Ke Gosht Par Kisi Bhi Sunni Musalman (Zinda Ya Murda) Ki Fatiha (Isal e Sawab) Karne Me Koi Harj Nahi.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Aurat Ko Chandi Ya Sone Ke Naam Ya Alfaz (Latter) Wale Locket Pehenne Me Harj Nahi Jabki Ayat/Dua Ibarat Jaise Alfaz Se Bachna Zyada Zaroori Hai, Albatta Mard Ko Inme Se Kuch Bhi Gale Me Pehenna Jaiz Nahi, Na Chandi Me Na Sone Me.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Ji Han Ek Quran Ya Koi Bhi Nek Amal Ek Se Zyada Marhoom Ya Zinda Musalmano Ko Bakhsha Ja Sakta Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han Qaza Namaz Padhna Wajib Hai, Baligh Hone Ke Bad Jo Farz Aur Wajib Namaz Na Padhi Gai Hon Unhe Padha Jayega.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Waqt Fajar Qaza Padhi Ja Sakti Albatta Nafil Nahi Padh Sakte Hain.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han, Wuzu Karke, Doosri Jild Dekh Kar Khud Laga Sakte Hain.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Jis Imam Me Sharait e Imamat Pai Jaye Uske Pichhe Namaz Durust Ho Jayegi, Dil Ke Waswaso Ka Khayal Na kiya Jaye.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Displaying 1101 - 1150 of (1171) records

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.

exit