Donation Appeal
Welcome Image
18-Jumada al-awwal (جُمَادَىٰ الأُولَىٰ) 1447 H. / Wed, 26.11.2025 7:25 pm
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

All Questions

Farz Namaz Ke Bad Foran Allah Se Dua Ki Jaye, Ki Isi Ki Targheeb Dilai Gai Hai Fir Bad Dua Farigh Ho Kar Nabi e Kareem ﷺ Ki Bargah Me Salat o Salam Pesh Kiya Jaye Fir Dua Kar Li Jaye Ki Nabi Allah Ki Ata Se Hajat-Rawa Hain.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Shak Se Kuch Nahi Hota, Agar Yaqeen Ho Ki Hawa Kharij Hui Thi To Namaz Fir Se Padhi Jaye, Aur Sirf Wehem Tha Ki Shayad Hui Ho To Na Dohraya Jaye.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Taweez Agar Ache Se Plastic Aur Kapde Me Pack Hai To Uska Napak Shakhs Ko Pehenna Chuna Jaiz Hai

Asar Me Bhi Koi Kami Na Hogi.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Badmazhab Ki Kisi Aise Kaam Me Madad Karna Jisse Wo Sunni Musalmano Ko Gumrah Kare, Jaiz Nahi.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Aas pas Jaha Jumua Hota Ho To Waha Ja Kar Padhe. Agar Kisi Surat Jumua Nahi Milta Maslan Us Sheher Me Jumua Hota Hi Nahi To Apni Zohar Padhe.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Mobile Par Napaki Lag Jaye To Use 3 Naye Pani Se 3 Bar Saf Kapde Se Achchi Tarah Saf Kar Le, Aur Har Bar Saf Karke Us Kapde Ko Fir Saf Pani Se Dhoye Nichodkar Achche Se Fir Saf Karen.
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE

Sharmgah Ko Dekhne Dikhane Se Ghusl Farz Nahi Hota.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Agar Kufu Ke Mamle Me Ladka Ladki Se Behtar Hai Aur Sharai Meher o Gawah Ke Sath Nikah Kiya Jaye To Nikah Durust Hoga. Magar Walidain Se Chup Kar Aisa Karna Unki Dil Azari, Beadabi Hai, Haram Rishte Jab Panapte Hain Jab Ladka Ladki Apas Me Bat Kare, Nikah Tak Aise Mamlo Se Door Rehna Chahiye, Aur Gunah Ka Zan Ghalib Hai To Foran Ghar Me Badon Se Bat Kare Aur Jald Nikah Ko Kahe. Fir Bhi Agar Wo Na Mane Tab Koi Surat Ban Jayegi Khud Nikah Ki.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Deobandi Wahabi Apne Aqaide e Kufriya Ki Bina Par Kafir Hain, Yani Wo Aqaid e Kufriya Jo Unke Peshwao Se Sarzad Hue Jaisa Ashraf Ali Thanvi Ka Kufr Aur Nabi Karim ﷺ Ki Shan Me Gustakhana Aqeeda, Aur Waise Hi Deegar Akabiran e Deoband Ka Kufr, Lihaza Kisi Gustakhana Aur Kufriya Ibarat Likhne Wale Ko Musalman Janna Khud Me Ek Kufr Hai, Jo Ashraf Ali Thanvi Ko Musalman Jane Wo Bhi Kafir Hai Aur Maujooda Deobandi Khawas Ashraf Ali Thanvi Ko Apna Mujaddid Kehte Hain Lihaza Is Bina Par Wo Khud Kafir Hain Fir Chahe Koi Tariq Masood Ho Ya Tariq Jameel, Islam Aqeede Ki bunyad Par Baqi Rehta Hai Amal Ki Bunyad Par Nahi, Aise Ki Nisbat Ulama Ka Farman Haiمَنْشَکَّ فيْ عَذَابِہ وَکُفْرِہ فَقَدْ کَفَرَ

[jo unke azab o kufr me shak kare wo khud kafir hai]

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Dost (Friend) Banana Koi Zindagi Ki Zaroorat Nahi Hai, Na Hi Ye Zaroori Hai Ki Har Bat Friend Se Hi Share Ki Jaye Aur Isse Zyada Khatarnak Is Daur e Purfitan Me Male Ko Friend Banana Hai Jabki Usse Na Apka Koi Dunyawi Rishta Hai Na Deeni, Lihaza Normal Bat Bhi Ni Ki Ja Sakti, Faltu Time Ho To Qaza Padh Lo Warna So Jao, So Jana Najaiz Rishte Me Padne Se Behtar Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

Malik Kafir Ho Ya Musalman, Agar Dhoke Se Tankhwa (Salery) Me Zyada Raqam Aa Jaye To Use Khabar Karna Lazim Hai, Fir Wo Mange To Dena Bhi Lazim Hai, Aur Rakhne Ko Bole To Rakh Sakte Hain.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Biwi Ko Hamare Urf Me Jo Paisa Zewar Diya Jata Hai Wo Biwi Hi Ki Milkiyat Hota Hai, Agarche Saf Na Kaha Jata Ho, To Us Raqam Aur Zewar Par Biwi Ko Zakat Wajib Hai (Agar Aur Sharait Pai Jati Ho To). Albatta Agar Kisi Shohar Ne Koi Raqam Khas Kisi Kam Ya Kisi Aur Wajah Se Rakhne Ko Di Hai To Wo Biwi Ko Alag Se Wazeh Kare. 

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Azan Ke Waqt Lete Rehna Gunah Nahi, Magar Behtar Ye Hai Ki Azan Ki Tazeem Ke Liye Uth Jaya Jaye Aur Qibla Rukh Ho Kar Baithe Aur Azan Ka Jawab De, Jabki Azan Ke Waqt Baton Me Mashgool Hona Aur Zyada Sakht Hai, Azan Ke Waqt Baat Karte Rehne Wale Ke Bare Me Ye Khof Kai Ki Uska Khatima Iman Par Na Hoga.

والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Agar Khwab Me Ehtlam Hona Yaad Hai Magar Kapdo Par Koi Nishan Nahi To Ghusl Farz Nahi.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Safed Balo Ka Kala Karwana Jaiz Nahi Hadis Me Sarkar ﷺ Ka Farman Hai Ki, "Akhri Zamane Me Ek Aisi Qaum Hogi Jo Kale Rang Ka Khizab Lagayegi Jo Kabootron Ke Seene Ki Tarah Bilkul Kala Hoga. Ye Log Jannat Ki Khushbu Bhi Nahi Payenge" Aur Farmaya: " Balo Ki Is Safedi Ko Kisi Rang Se Badal Dalo Aur Siyahi Se Bacho (Yani Balo Ko Kala Na Karo)"۔ Yani Kala Na Karo Chaho To Mehndi Laga Sakte Ho.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han, Agar Apki Milkiyat Me Hain To Use Zaya Kar Diya Jaye, Aur Agar Kisi Aur Ki Milkiyat Me Hain To Use Zaya Karne Ko Kaha Jaye.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Farz Namazo Ko Bila Uzr Qaza Kar Dene Wala Shakhs Fasiq Hai Aur Fasiq Ko Imam Banana Jaiz Nahi. Fasiq Ki Imamat Ke Bare Me Farmaya Gaya, "Fasiq Ke Piche Namaz Padhna Ek Gunah Hai, Aur Use Imam Banana Dusra Gunah Hai, Aur Agar Kisi Tarah Imam Ho Gaya To Bila Majboori Us Ke Piche Namaz Padhna Ek Gunah Hai".

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

Khane Peene Ki Cheez Me Agar Napaki (Ghaliza) Gir Jaye To Wo Khana Napak Ho Jayega Use Khana Peena Jaiz Nahi, Albatta Aise Suwal Me Zaroori Hai Ki Najasat Bhi Bayan Ki Jaye Ki Kya Gira Hai.

وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Nahi Isme Invest Karna Filwaqt (2025 Tak) Jaiz Nahi.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Dulhe Ko Phoolo Ka Sehra Bandhna Jaiz Hai Haram Kehna Ghalat Hai.

واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Ji Han Qaza Namazo Me Ek Hi Surat Ki Bar Bar Taqrar Kar Sakte Hain Albatta Behtar Ye Hai Ki, Ek Surat Chand Rakat Me Padh Kar, Fir Doosri Surat Chand Rakato Me Padhi Jaye Fir Nai Surat, Fir Wahi Purani Wali Dohra Di Jaye.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Displaying 1151 - 1171 of (1171) records

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.

exit