Ji Han Agar Kisi Aur Ki Taraf Se Koi Bhi Fitra De De To Ada Ho Jayega
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Aapki Walida Apni Zakat Apni Bahu Ko De Sakti Hai Baki Phir Wo Us Raqam Se Qarz Ada Kare Ya Na Kare Unki Marzi Hai
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Zakat Deni Hogi Aur Invested Nahi Balki Invest + Profit Par Jabki Invest Jaiz Tariqo Par Kiya Gaya Ho
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ji Han Zakat Ada Ho Jayegi
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Isme Do Surate Hain 1. Agar Aap Pehle Se Sahib e Nisab Hain Aur Zakat Dete Hain To Un Paiso Par Bhi Zakat Hogi Jo Sunaar Ke Paas Jama Hai, 2. Agar Aap Pehle Se Zakat Nahi Dete Aur Sunaar Ke Paas Itna Paisa Jama Ho Gaya Jis Par Zakat Bane To Zakat Deni Hogi Aur Agar Itna Paisa Jama Nahi Hua To Zakat Nahi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Zakat Sharai Faqeer Ko Dena Hoga Yani Use Malik Banana Hoga, Fir Wo Us Raqam Ka Umra Kare Ya Khana Khaye Uski Marzi Hai, Faqat Uske Liye Umra Ka Saman Ya Ticket Kharid Kar De Dene Se Zakat Ada Nahi Hogi, Use Maal Ka Malik Karna Hoga
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ji Han Apke Liye Unke Ghar Ka Khana Peena Jaiz Hoga
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Nafil Sadqa De Sakte Hain, Agar Ladki Sharai Faqeer Hai To Phir Zakat Bhi De Sakte Hain, Aur Jo Aam Paisa Diya Jayega Wo Bhi Nafil Sadqe Me Shumar Ho Jayega
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Uske Maal e Wirasat Se Ada Karen Zakat, Agar Maal Na Ho To Koi Aur Uski Taraf Se Ada Kar De
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Jo Sadqa Apne Upar Lazim Kar Liya Jaye Jaise Mannat, Kaffara, Waghaira Ya Phir Shariat Ne Aap Par Lazim Qarar Diya Jaise Zakat Fitra Waghaira Wo Farz Ya Lazim Hai Iske Siwa Jo Sawab Ki Niyat Se Allah Ki Raah Me Kharch Kare Nafil Hai
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Gold Ka Zewar Dene Se Zakat Ho Jayegi Shadi Karne Se Nahi Hogi, Albatta Shadi Ke Tamam Kharch Ka Paisa De Dene Se Ho Jayegi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Han Nikal Sakte Hain Balki Jis Maah Zakat Farz Hoti Hai Usi Maah Nikalna Chahiye
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Agar FD Ki Raqam Nisab Ko Hain Aur Ek Saal Se Zyada Ho Gaya To Us Par Zakat Deni Hogi Jab Ki Ye Itna Qarzdar Na Ho Ki Qarz Dene Se Nisab Se Kam Maal Bache, Albatta Zakat Ke Liye FD Break Karna Zaroori Nahi Udhar Le Kar Bhi Zakat De Sakta Hai,
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Han Zakat Farz Hai, Total 10.5 Tole Sone Ki Zakat Deni Hai 0.5 Tola Ki Zakat Nahi Hogi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
2023 Me Sirf 20 Hazar Par Zakat Nahi Hai
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Agar Agli Jitni Raqam Apke Paas Hai Us Par Zakat Banti Hogi To Zakat Deni Hogi Lekin Agar Agle Saal Apke Paas Paise Utne Rahe Aur Sone Chandi Ke Daam Zyada Badh Gaye To Zakat Nahi Hogi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Le Sakte Hain, Bachna Behtar Hai
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Dawateislami Ko Zakat Dena Jaiz Hai, Kyunki India Ka Paisa India Me Hi Rehta Hai Aur India Ke Deeni Kaamo Me Lagaya Jata Hai Zakat Ka Paisa Madani Channel Par Nahi Lagaya Jata Jo Aisa Kehte Hain Wo Bedalil Hasad Ki Bunyad Par Aisa Kehte Hain
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Nahi, Kisi Bhi Badmazhab Ko Zakat Dene Se Zakat Ada Nahi Hogi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Jo Kapde Apni Zaroorat Ke Pehnne Ke Liye Kharide Ho Un Par Zakat Nahi Chahe Sardi Ke Ho Ya Garmi Ke Ya Shadi Waghaira Ke, Albatt Agar Kapde Bechne Ke Liye Kharide Gaye Hain To Wo Maal e Tijarat Hai Us Par Zakat Ho Sakti Hai,
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Nahi De Sakte, Zakat Ke Alawa Maal De Sakte Hain, Fir Us Maal Ko Zakat Se Kam Kar Sakte Hain, Matlab Jo Maal De Diya Us Par Zakat Nahi
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
VIDEO ANSWER CLICK HERE
Apke Paas Wo Jis Qeemat Ka Hai Us Par
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب
Agar Sadqe Ki Niyat Se Kuch Raqam Alag Kar Di Gai Hai Taki Jama Karke Ek Sath De Di Jayegi To Bhi Harj Nahi Ya Fir Abhi Bahar Jana Nahi Hai Ya Zarooratmand Nahi Dikh Raha Jab Dikhega To De Denge, Is Tarah Raqam Ko Alag Rakhne Me Harj Nahi
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
Sirf Acount Me 50 Hazar Hone Se Sahib e Nisab Nahi Hote, Balki Us Paiso Par 1 Sal Bhi Guzar Gaya Ho To Zakat Wajib Hogi Aur Zakat Dene Ke Liye Zaroori Nahi Ki Usi Account Se Paise Nikale Jaye, Jitni Zakat Banti Hai Wo Ada Ki Jaye Chahe Paise Aap Kisi Bhi Account Se Lo Ya Kisi Aur Se Lo Usse Koi Masala Nahi Hai.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
Ji Han, Aurat Jo Ki Syeda Nahi Hai Use Zakat Di Ja Sakti Hai, Jabki Aurat Sahib e Nisab Na Ho, Agar Uske Pas Khud Zewar Sona Paisa Hua Aur Wo Sahib e Nisab Hui To Use Bhi Nahi De Sakte.
وﷲ تعالٰی اعلم بالصواب وﷲ یرجع الیہ ماٰب
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE
Nahi, Biwi Ko Apni Zakat Poori Deni Hogi Shohar Ke Qarze Usme Add Nahi Kiye Jayenge.
واللہ ورسولہ اعلم ، عزوجل وصلی اللہ تعالی علیہ وسلم
FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE
Girwi Rakhe Maal Par Zakat Nahi Hoti, Na Us Par Jiska Maal Hai Na Us Par Jiske Paas Rakha Gaya, Aur Na Hi Maal Wapas Aane Par Girwi Rakhe Tamam Saal Ki Zakat Hogi.
والله تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب