Farmaan e Mustafa
Welcome Image
6-Muharram (محرّم) 1447 H. / Wed, 2.7.2025 12:38 pm
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Category: Tarifaat [Definitions]

Ek Raat Me Isha Ki Namaz Ke Bad Jo Nafil Namaz Padhi Jaye

Safar Se Wapas Aa Kar Masjid Me 2 Rakat Namaz Padhna

Suraj Buland Hone Se Zawal Tak 2 Ya 4 Ya 12 Rakat Nawafil Padhna

Fajr Ki Namaz Padh Kar Suraj Tulu Hone Ke Kam Se Kam 20 Minute Bad 2 Rakat Namaz Padhna

Wuzu Ke Bad Aza (Parts) Khushk Hone Se Pehle 2 Rakat Namaz Padhna

Kisi Shakhs Ka Masjid Me Dakhil Ho Kar Bethne Se Pehle 2 Ya 4 Rakat Ka Padhna

Maghrib Ki Namaz Ke Bad 6 Rakat Nafil Namaz Ko

Isse Murad Islam Ki Weh Alamate Hain Jin Se Islam Aur Kufr Me Farq Hota Ho, Azan

Us Idare (Department/Office) Ko Kehte Hain Jahan Beth Kar Mufti Sahiban Fatwa Dete Hain

Weh Mulk Jisme Filhal Islami Saltanat Ho, Ya Ab Nahi To Pehle Thi, Aur Ghair Muslim Badshah Ne Usme Shiar E Islam Baqi Rakhe Ho

Weh Daar Jaha Kabhi Islami Saltanat Nahi Hui, Ya Fir Hui Magar Bad Me Aise Khatam Hui Ki Wahan Shiar E Islam Baqi Na Ho Aur Weh Jagah Charo Taraf Se Darul Islam Me Ghiri Hui Na Ho

Fiqh E Hanafi Me Imam Abu Yousuf Aur Imam Muhammad Ko

Qurabani (10 Zulhijja) Ke Baad Ke 3 Din Yani 11, 12, 13

​Weh Budha Shakhs Ki Jiski Umar Aisi Ho Gai Ki Ab Roz Ba Roz Kamzor Hi Hota Rahega, Jab Weh Roza Rakhne Se Aajiz Ho

Kisi Shakhs Ke Liye Weh Jagah Jaha Uski Paidaish Hai, Ya Uske Ghar Ke Log Waha Rehte Hain, Ya Waha Sukoonat Kar Li Aur Ye Irada Kar Liya Ki Yaha Se Na Jayega

Char Rakat Wali Namaz Ki Akhri Do Rkat Ko

Char Rakat Wali Namaz Ki Pehle Do Rakat Ko

Tehband Ya Payjame Ka Takhno Se Neeche Khususan Zameen Tak Paynche Rakhna

Sar Par Rumal Ya Imama Is Trah Se Bandhna Ki Darmiyan Ka Sar Khula Rahe

Weh 10 Sahabi Jin Ko Sarkan Ne Unki Zindagi Me Hi Jannati Hone Ki Bisharat Di Thi

Jo Dalil E Qatai Se Sabit Ho, Yani Aisi Dalil Jisme Koi Shak Na Ho

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Wo Dalil Jo Quran Ya Hadis E Mutawatifa Se Ho

Wo Farz Jo Kuch Logo Ke Ada Karne Se Sabki Taraf Se Ada Ho Jaye, Aur Agar Koi Bhi Ada Na Kare To Sab Gunahgar Ho

Weh Jiski Zarurt Dalil E Zanni Se Sabit Ho, Aur Nazr E Mujtahid Me Aisa Zaruri Ho Ki Jiske Bagair Ibadat Naqis Ho

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Weh Jiska Sabut Quran Ya Hadis E Mutawatira Se To Na Ho Deegar Ahadis Aur Aqwal E Aimma Se Ho

Weh Kaam Jo Huzoor Ne Hamesha Kiya Ho, Aur Kabhi Bayan E Jawaz Ke Liye Tark Bhi Kiya Ho. Aur Ise Sunnat E Huda Bhi Kehte Hain Aur Iska Talluq Ibadat Se Bhi Hota Hai Jaise Wuzu Me Kulli, Maghrib Ki Sunnat

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Weh Kaam Jis Par Huzoor Ne Hameshgi Nahi Farmai Aur Na Uske Karne Ki Taqeed Farmai Lekin Shariat Ne Uske Tark Ko Napasand Jana Ise Sunnat E Zaida Bhi Kehte Hain Iska Taluq Aksar Aadaat Se Hota Hai Jaise Imama Pehnna, Surma Lagana

FOR VIDEO ANSWER CLICK HERE 

Weh Kaam Jo Shariat Ko Pasand Ho Aur Us Par Sawab Bhi Ho Magar Naa Karne Par Kuch Gunha Nahi Jaise Meelad, Salam.

Weh Kaam Jise Karne Par Na To Sawab Ho Aur Chhorne Par Na To Gunah Jaise Burger Khana, Technology Ka Istemal Karna

Note: Har Mubah Kaam Achi Niyat Se Karne Par Mustahab Ban Jata Hai

Jis Kaam Ka Mana Hona Dalil E Qatai Se Sabit Ho Aur Ye Farz Ka Muqabil Hai

Displaying 61 - 90 of (141) records

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.