no words
Welcome Image
16 Shawwal 1445 / Thu, 25 April 2024
بسم الله الرحمن الرحيم الصلوۃ والسلام علیک یارسول اللہ

Watan Se Mohabbat Iman Ka Hissa Hai

Watan Se Mohabbat Iman Ka Hissa Hai
Share this post:

Suwal: Huzoor Kiya ye sahi hadis hey ki Jis mulk me paida huye uss mulk se mohabbat rakhna kiya Eman ka hissa hey? References atta farma dijiye Huzoor

 Jawab: بسم الله الرحمن الرحيم

Is bare me jo hadis byan ki jaati hai wo is tarah hai حب الوطن من الایمان yani,

(watan ki mohabbat iman ka hissa hai) Ye hadis se sabit NAHI hai,

 Balki imam shamsuddin sakhawi maqasid e husna aur Imam jalaluddin suyuti shafai ne al durar al muntashira Me bila ittifaq is riwayat ko farmaya: لم اقف علیہ (yani, main isse agah nahi ho saka)

 

Allah ne quran e pak me apne un bando ki tariff Ki hai jo allah wa rasool ki mohahhat me apna Watan chor den, aur un logo ki sakht mazammat Farmai jo watan ki mohabbat liye bethe rehe Or allah aur rasool ki taraf mohajir naa huye.

Jaisa ki surah nisa ayat 100 me hai, “Aur jo allah ki raah me ghar chhor kar niklega wo zameen

Me bahut jagah aur gunjaish payega aur jo apne ghar se Nikla allah wa rasool ki tarah hijrat karta fir use maut ne Aa liya to uska sawab allah ke zimme par hoga”

 

Fatawa Razawiyya Jild: 15 Page: 298 par hai

Jo Madina tai’iba ki haziri par watan ki mohabbat ko Ehmiyat de zalimon ki tarah hai..

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

 

Suwal no. 77

Agar Kisi Khatoon Ke Shauhar Ka Inteqaal Hogaya Ho Or Uske Bachche Islam Se Baligh Hon Magar Duniyawi Taur Par Nahi Or Wo Padh Rahe Hon Or Us Khatoon Ka Koi Zariya Na Ho Paise Ka To Uspe Fix Deposit Or Bank Ka Interest Lena Haram Hoga Ya Jaiz ?

 

Jawab: 77. بسم الله الرحمن الرحيم

Jaiz hoga, Or ye khas is aurat ke liye hi nahi balki. Hind ke bank se jo extra raqm milti he wo jaiz hai. Wo sood nahi hai.

وهُو تعالیٰ أعلمُ بالـصـواب

Al-Kitabat

Sikander Warsi, Delhi, India

Share this post:

Donate Us

If you like our work please support us by donating. We strive to run only HALAL ADVERTISEMENTS. Educated Person Knows, The Website Runs With Money.